Ye 4 Sadhan MIL Jaye Bass!!


Sant Shri Asaramji Amritvani

Sant Shri Asaramji Ashram ,

December 2009

Surat

Satsang ke mukhya ansh:
* Vivek, Vairagya, Satsampatti [Sam,Dam, Titiksha, Samadhan, Uparti, Eshwar Pranidha] aur Moksha ki ichha ye mill gaya to bhagwan ke piche tumhe nahi jana padega bhagwan tumhara aatma hokar pragat ho jayega, dukh tumhe daba nahi sakega, sukh tumhe bablu nahi bana sakega, anand tumse juda nahi reh sakega…

* Bhagwan humare chitta mein vivek jaga de, Vivek ye jagade ki ye sansar aur vastue aur sukh dukh vinashi hai, aur usko dekhne wala drista, aatma, parmeshwar avinashi hai….

* Vairagya dede, ye bhogo , ye khao, ye furniture lao lakin akhir kabtak jisske liye aa rahe ye sharir bhi sada nahi rahega, rag ka na hona, rag vaithatit ho gaya ….

* Satsampatti [Sam,Dam, Titiksha, Samadhan, Uparti, Eshwar Pranidha] 6 adhyatmik khajane..

1. Sam: Man ko rokna

2. Dam: Indrio ko rokna

3. Titiksha: eshwar ke raste aane wale kasto ko seh lena, dukh seh kar bhi bhagwan ke raste guru ke raste chalte rehna

4. Samadhan: man ko eshwar, shastra aur guru ke paksha mein stit karke samadhan de dena chahiye taki dusro ke neech sanskaro se hum bache

5. Uparti: Chora hua sansari tuchha vatavaran, sang {tuchha vichar, tuchha dosti, tuchha khanpaan, tuchha vaisan} chor diye to chor diye phir mord ke nahi dekhna…

6. Eshwar Pranidha: Eshwar ka ashray

* Moksha ki tivra ichha ho to bhagwan brahmavetta mahapurush se aapka bheta kara hi denge, ager moksha ki ichha nahi hai to brahmavetta ka sang millne par bhi aapki mang nahi hai na mukti ki tu phir sansari chije de degi

In 4 chijo ke prati aap laperwah honge to aapko majuri mathe padegi…